सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं

Laptop and Desktop me difference Kya Hai

     
           Hi, friends mai smajh sakta hu ki aap sab pareshan ho jate honge kiu ki jab bhi hum soch te hai ki compter purchase kare toh konsa kare Laptop ya Computer. But don't worry mai aaj aap ko bataunga ki aap ko dono me se kya lena chahiye.
           Laptop and desktop dono hee best hai, koi kharab nahi hai but kuch logo ke liye laptop toh kuch ke liye desktop best hai. Toh aaj mai aap sabhi ko full details me bataunga ki jisse aap sabhi smajh payenge ki konsa best hai aap k liye.
           Desktop ya laptop ke difference ko samajhne k liye kuch points hai jisse ki aap sabhi easily samajh payenge.

  Laptop and Desktop me difference Kya Haivs
Laptop and Desktop me difference Kya Hai

1) DISPLAY :-

      LAPTOP:-  laptop me jyada tar ek hi screen size milta sabhi me, sab k screen me thoda sa ka he fark hota hai (example- 14'', 15'', 16'',17'' inches). laptop ki display quality bhi jyada achi nahi hoti jitna acha aapko desktop me mil jata hai.

Laptop and Desktop me difference Kya Hai
Monitor
      DESKTOP:- desktop me aap jitna chahe utna zyada bada MONITOR le sakte hai. desktop me aap ko alag se MONITOR lena padta hai jisse ki screen size and display ki quality apne hisab se le sakte hai.


2) POWER :-

     LAPTOP:- laptop ka power source BATTERY  hai. jisse ki aap ko usse baar baar charge karna padega, jisse ki agar electricity na bhi ho toh aap laptop use kar sakte hai. but laptop ka BATTERY  ka life kuch time baad kum ho jata hai and BATTERY jyada der tak bhi nahi chal payega.

    DESKTOP:- desktop ka power source direct electricity hai, isme battery nahi hota hai. jisse ki isse aap bina electricity k nahi chala sakte hai but isse BATTERY kharab hone ka risk bhi nahi rahta because issme battery nahi hota.


3) KEYBOARD & MOUSE/ TOUCHPAD :-

Laptop and Desktop me difference Kya Hai
Touchpad

     LAPTOP:- laptop me keyboard and touchpad hota hai. isme mouse nahi hota ( TOUCHPAD mouse jitna acha nahi hota). but touchpad me kuch gestures ka support hota hai jo ki only touchpad me hee milta hai.







Laptop and Desktop me difference Kya Hai
Mouse
DESKTOP:- desktop me MOUSE hota hai jis ki wajah se sabhi work easily ho jata hai. MOUSE gaming k liye bhi acha hota hai and market me gaming ke liye different types ke MOUSE available hai.




4)UPGRADE/ UPDATE :-


     LAPTOP :- laptop me aap jyada upgrade nahi kar sakte that means apne hisab se RAM, HDD, SDD etc. ko laga nahi sakte hai beacuse uska limitation hota hai. 

     DESKTOP:- desktop me aap jo chahe woh upgrade kar sakte without any restriction jiss ke karan price bhi kam ho jata hai. desktop me aap ko CPU milta hai jisse aap easily kisi bhi cheez ko change kar sakte hai because usme jagah ki kami nahi hoti.

5)PORTABILITY/ MOVABILITY :-

      LAPTOP :- yeh laptop ki speciality hai ki usse aap kahi bhi kisi bhi time aap easily le ja sakte hai and easily apna work kahi se bhi kar sakte hai.

      DESKTOP :- desktop ko aap kahi bhi le ja nahi sakte hai because usme CPU, MONITOR, MOUSE & KEYBOARD alag se hota hai jisse ke karan ek jagah rakh kar hi use karna padega and iss ke karan yeh jyada space leta hai.

6) GAMES :-

       LAPTOP:- laptop me games utne ache se nahi chal te jitna ki desktop me because laptop ko slim banane ke karan usme se Air Flow thik se nahi hota hai. uska fan bohut chota sa hota hai jis ke karan air thik se bahar nahi aata hai and laptop ke bhitar me heat jyada hota hai. laptop me limitation hoti hai jis ke karan graphic card use karne me problems aati hai.

      DESKTOP :- desktop gaming ke liye best hai because isme cpu hota hai jo ka kafi bada hai jiss ke karan heat easily nikalta hai and issme aap easily apne hisab se Graphic card use kar sakte hai jis se aap ke gaming acha hoga.


             So finally yeh kuch points jisse aap easily choose kar sakte hai ki aap ko Desktop ya Laptop lena hai, but agar aap abhi bhi choose nahi kar pa rahe hai ki kaun sa le toh mai aap ko bata du ki agar aap apna work hamesa ghar pe hee kar te hai toh aap ko DESKTOP hee lena chahiye. yah fir aap hamesha Travel kar te hai toh and travel karte time aap apna work karna chahte hai toh aapke liye LAPTOP best rahega.
             Agar aapka iske related kuch bhi questions hai ya kuch bhi puchna hai toh aap comment kar sakte and mujh se contact kar sakte hai, agar aap ko aise hee kisi dusre cheez ka blog chahiye joki TECHNOLOGY se related ho toh aap mujhe suggest kar sakte hain and mai uss chezz ka blog post kar dunga.
      

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें